Monday 20 June 2016

Samsung Galaxy S7 EDGE full Review

Samsung Galaxy s7 edge

Full A-Z Review 













Hello readers aaj mai Aditya aapko samsung galaxy s7 edge ka full review dunga. JESA ki aap sab jaante hai samsung ki latest flagship jo india mai launch hui hai . Aapko mai stepbystep iske harek feature k baare mai bataungaa   sabse pahle iski design ...!

Design
Is phone ki design sabse acchi hai . Kabhi kuch users ki shikayat aayi thi ki kuch phones ki grip comfortable nhi hai. Isi ko dekhte hue samsung ne is phone mai comfort aur grip dono ko saath mai rakhte huye iski design banayi . Iski design ek machine se 3d terrmoforming process se banayi hai .


Iski screen size 5.1 se 5.5 inches ki hai . Isme super amoled QHD display hai . Yeh phone 3600 mah ki battery se powered hai .

Iski design mai bole to ye phone water aur dustproof hai is phone ne in dono cheejo mai apple iphone 6 ko haraya hai .



Camera
Is phone ke liye jitni tareef kare utni kam hai. Isme dual lense camera hai . Jo is,i picture quality ko behad badha deta hai . 13 mp aur 5 mp camera normal camera se alag hai .iske camera ke feature itne ki gina hi nhi sake fir bhi aapko mai kuch feature bata deta hu. Isme sabse khaas hai MOTION PANORAMA. its the best of all . Fir motion photo  and hyperlapse . Hyper lapse  feature sabse acchi photos produce karta hai.iske saath saath selfie flash aur wide selfie ka frature bhi hai .

Hardware & Accessories
Isphone ko power karne ke liye GPU aur 4 Gb ram di gyi hai jo multi tasking ke liye smoothly work krta hai . Iski accessories  abhi tak ke sabhi samsung 

Iske box mai iska charger otg cable  headphone aur sabse helpful quickstart guide.    Accessories to ye vali box ki thi . Baad mai extra accessorie bhi aatii hai vo bahut hi acchi hai .




Storage & Memory Expantion
Pehli baar samsung ke kisi flagship mai expandable memory di hai .nhi to pahle s6 mai expandable memory nahi thi .
isme 200 gb tak ka sd card support karta hai . 
Iski do mode rehte hai ya to 2 sim ek saaath use kare ya ek sim aur ek sdcard use karsakte hai .

Charging & Shortcut
Isme fast charging hoti hai jo kaafi buisness users aur students ke liye kaafi useful hai ye phone 0-100 tak 100 minute mai charge ho jata hai. 
Aap log sochte hoge ki isme ghoomi hui screen kis kaam ki hai  mai aap ko bata du is iske edge display mai kaafi naye features add huye hai . 
    
Isme apps edge se lekar ruler  aur bhi kaafi gadgets hai .


Aaplogo se mai umeed karta hu ki aapko mera ye post accha laga hoga . Agar aapko koi suggestion dena hai to aap hamse comment mai keh sakte hai  aur adhik jaankari ke liye hame aap email par pooch sakte hai . Hamari email id about us par click karke mil jayegi .

Thanks ......! 
Aditya

0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Recent Posts

Categories

Unordered List

Powered by Blogger.