Saturday 18 June 2016

Best Smartphones in India

Aaj hum  India ke best smartphones batayge... ........
Aaj kal smartphones brands mai competetion laga hua hai .
Brand or company apne flagship market mai utar rhi hai .
Harek company apne flagship mai best dene ki full koshis
 karti hai.India ke top 5 smartphones mai mostly famous Brands aate hai ....!

  1.  Samsung galaxy s7 edge (32 gb)

Price = 56,900


Samsung pehli company hai jisne india me apna flagship smartphone launch kiya hai. Samsung ne apne smartphones ki design me pehli baar change laya hai.

Ye phone glass aur metal se bna hai. Aur waterproof hai. Isme micro sd card 200 gb tak support hota hai. Isme 4 gb ram ke sath 32 gb internal storage bhi diya gya hai. Isme Exynos 8890 SoC processor diya gya hai jo apne business me sabse fast hai. Isme AMOLED display di gyi hai vo bhi 2560 × 1440p resolution ke sath.
Is phone ki aur details ke liye Ispe click kare .



2. LG G5



 Price = 52,990
Lg ka flagship smartphone, LG G5 , pehla LG smartphone hai jisne metal body or fingerprint sensor diya hai. LG G5 qualcomm snapdragon 820 SoC powered hai. Isme 4 gb ram aur 32 gb storage hai. 5.3 inch display ke sath 2560 × 1440pixel resolution hai.
Is phone ke baare me aur padne ke liye yaha click kare..
3.Iphone 6s







Price = 64,499

Apple iphone 6s ' sabse best smart phone apple ke ithehas me'. Isme sab kuch hai jo ek phone ko flagship banane me kaam aata hai. Sabse bda difference apple ke itehas me aaya hai vo hai CAMERA. Is phone se hum 4k resolution se shoot kar sakte hai. Isme 3d touch display bhi hai. Gaming aur multitasking me ye smartphone sabse fastest sabit hua hai.
Iske baare me aur jankari ke liye yaha
Click kare

4. Huawei nexus 6P




  


Price = 33,499

Made by huawei, ye phone aluminium build hai. Isme lazer assisted  autofocus hai jo bahut acchi photo shoot karta hai.
Isme 12.3 back camera aur 8mp front camera hai aur ye phone 3450 mah battery se powered hai. Nexus 6p pehla phone hai jisne android marshmallow present kiya hai.
Is phone ki aur jankari ke liye hamare agle post ka intezaar kariye.

5. Xiaomi MI 5






Price = 24,999


Xiaomi ne apna flagship smartphone india me kuch dino pehle hi utara hai. Isme 3gb ram aur 32gb storage hai. Ye snapdragron 820  powered hai. Iska ek aur variant hai jisme 4gb ram aur 128 gb storage hai. Isme 4 axis OIS camera hai aur isme 3000 mah battery di gyi hai.

Iske baare me aur padne ke liye hamare next post ka intezzar kare.










0 comments:

Post a Comment

Popular Posts

Recent Posts

Categories

Unordered List

Powered by Blogger.