Saturday 24 September 2016

Smartphone Ke All Sensor List Ki Puri Jankari- Hindi Me

Kya apko pta hai apke mobil me kon kon se Sensor hai. Agar nhi pta ho to app is post ko pura padh kar Aur Samjh Sakte hai ki Smartphone Me Kitne type ke sensor hote hai Aur apke mobil me kon kon SeSensor Ke Feature Available hai.

Sabse phele apko samajhne ki jarurat hai ki sensor kya hai Aur Ye kaise work Karta hai. 

What is Smartphone Sensor:

Smartphone Me Sensor Ek Tarah Se Feature Work karta hai Ya Esa Kahe ki Ek Sensor Me Ek alaghardware & Program hota hai Aur usse New Smartphone Me New Feature add hota hai.
Smartphone Me Alag alag type ke sensors hote hai aur unke baare me hum jante hai 

Smartphone Sensor List

Smartphone Me Alag alag type ke sensors hote hai aur unke baare me hum Neeche Samajh Sakte hai 

Accelerometer Sensor:
Jyadatar Smartphone Me Accelerometer Sensor hota hai. Iska andaja is Iske work se laga skte ho. Jab apka Mobil Auto Rotate Karne Par automatic Rotate hota hai. Uske liye Accelerometer Senseor Work karta hai. Normally Sabhi Smartphone me Ye Accelerometer Sensor hota hai Isme App Smartphone Screen ko 90 Degree Tak Rotate kar Sakte ho

Gyroscope Bhi Ek Sensor hota hai jo Accelerometer Ki Tarah hi Work karta hai Par isme Screen ko 360 Degree Tak Rotate kar Sakte hai. Games Khelne ke liye Aur 360 Degree Videos ke liye Ye Sensorupyogi hai


Compass ( Magnet Meter) Sensor:

Campass Ko Magnet Meter Sensor Bhi kahte hai Ye Sensor North , East, West, south Etc. Disha ko Detect karne ke liye hota hai. Ye Sensor specially Map Location Ke Liye Banaya gya hai jisse hum Map se Jakar Apni correct location aur Indicator dekh sakte hai jisse Direction ka pura gyan ho jata hai. Aur isse direction Bilkul correct aati hai jo ki Travelling purpose se bahut accha hai.


FingerPrint Sensor :

Fingerprint Sensor ke Baare Me Mujhe Jyada kuch kahne ki Jarurat nhi hai lagbhag Sabhi log Iske Naam Se Jante hai. Fingerprint Sensor user ki Fingerprint ko Scanner Karne ke kam aata hai. Fingerprint Sensor Smartphone Me Lock Purpose se aata hai. Ye Smartphone Mobil ko lock karne Ke Liye, unlock karne ke liye Use Me Aata hai. 


First time Smartphone mobil me User ki fingerprint save karni padti hai bad me unhi save finger print se mobil ko unlock and lock kiya jaa sakta hai. Ye sab Fingerprint Sensor ka kamal hai. Finger-Print Sensor Enable Mobil apki personality banata hai. Aur app Bina pattern ek ungli se mobil ke lock ko open kar sakte hai. Ye sensor ab develop ho chuka hai aur Normally 7,000+ Ke Budget Me available ho jata hai. 

PedoMeter Sensor:

Accelerometer Sensor se advance sensor pedometer hai Ye User ke step ko count karta hai Step Matlab Us User Ke chalne ke liye kadam ko count karta hai. Ye sensor mehngi Hone Ke Karan Mahenge Mobil Me dekhne ko milta hai. Agar apne fitness Band Dekhe honge to usme Pedometer Ka upyog kiya jata hai jo ki apki Bhagne Aur chalne dono ko count kar sakta hai. app isse Har Mahine Jaan sakte ho ki app Is Mahine Kitne Kadam chale.



Proximity Sensor: 

Proximity Sensor Smartphone Ki Aur Smart Banata hai. Ye Smartphone Device ke Aas-pass Hone Wali Movement ko Detect karta hai. Aur Usi Type se work karta hai. For Example. Apne Gaur Kiya ho Kuch Smartphone ko Calling time Ear(kaan) Ke pass lagane se light automatic band ho jaati hai jaise hi mobil ko Ear par se hatate hai automatically light on ho jati hai Ye Proximity hardware Ka Kamaal hota hai. Ye Sensor Ear se Detect karta hai Esliye jayadatar ye sensor Front Camera Aur Front Speaker ke pass laga hota hai.
Kuch Smartphone Me auto Call Receiving ka And Auto Call End ka option hota hai Wo Sirf isi Sensorka karan ho pata hai

Heart Rate Sensor: 

Jaise naam se hi Samjh Sakte hai ki Ye sensor smartphone Me Heart Rate ko napne ke liye aata hai. Samsung S-5 Me Ye Sensor app Dekh Sakte hai. Mi Band Me Heart Rate calculated Sensor Ka upyog hua hai. 


Ambient Light Sensor:


Ye Sensor Smartphone Ki Display Ki Automatically Brightness ko maintain karta hai. Jis Prakar app Ghar Me Kam Brighness upyog karna chahoge Aur Ghar Se bahar Jyada Brightness chahte hai kyu ki Bahar din Me Screen ko Saaf dekhna hota hai Kuch smartphone me Ye Manually karna padta hai. But Ambient light Sensor smartphone me auto Enable kar Sakte hai jisse Din Aur uajle ki hisab se utni hi brightness Show karega jisse apko apke smartphone ki screen aasani se show ho jaye aur Isse Mobil ki Battery Bi Kam Kharch hoti hai. Smartphone ki battery bachane ke liye ye best Sensor hai.



Barometer Sensor:

Ye Sensor Smartphone Ke Envirnment And Pressure Ko Detect karta hai. Jamin Ke Ander Samundra Level se app Tak ki hight ko Barometer dwara naapa jaata hai. Ye Kuch Smartphone ka aisa Sensor jo Fun Ya Scientific Reasearch Ke liye Prayog me liya jata hai
Tempreture Ko Napne ke liye iska upyog hota hai




Thermometer Sensor:

Therometer Temperature Detect Karta hai. Internal Tempreture se leker External temperature Tak in Sensor se napa jaa sakta hai. Jab Smartphone Me Bahut se Application Run hote hai to Smartphone Bhi Hang hone ya Heat Dene lagta hai Ye Sensor un Detail tak user tak pahuchata hai Ye Sensor bhi Bahut kaam ka hota hai

Friend Ye Smartphone Ki all Sensor List hai Jo ki Feature ke Hisab se Samjh gye honge ki apkesmartphone me Kon kon se Sensor hai Aur kis Tarah Work karte hai.
Smartphone Ke Baare Me Is Blog Par bahut si Jankari hai jo apko shayad nhi pta ho. App Unko Jarur Padhiye

Keep Visiting ... Be Happy:

Popular Posts

Recent Posts

Categories

Unordered List

Powered by Blogger.