Saturday, 24 September 2016

Smartphone Ke All Sensor List Ki Puri Jankari- Hindi Me

Kya apko pta hai apke mobil me kon kon se Sensor hai. Agar nhi pta ho to app is post ko pura padh kar Aur Samjh Sakte hai ki Smartphone Me Kitne type ke sensor hote hai Aur apke mobil me kon kon SeSensor Ke Feature Available hai.

Sabse phele apko samajhne ki jarurat hai ki sensor kya hai Aur Ye kaise work Karta hai. 

What is Smartphone Sensor:

Smartphone Me Sensor Ek Tarah Se Feature Work karta hai Ya Esa Kahe ki Ek Sensor Me Ek alaghardware & Program hota hai Aur usse New Smartphone Me New Feature add hota hai.
Smartphone Me Alag alag type ke sensors hote hai aur unke baare me hum jante hai 

Smartphone Sensor List

Smartphone Me Alag alag type ke sensors hote hai aur unke baare me hum Neeche Samajh Sakte hai 

Accelerometer Sensor:
Jyadatar Smartphone Me Accelerometer Sensor hota hai. Iska andaja is Iske work se laga skte ho. Jab apka Mobil Auto Rotate Karne Par automatic Rotate hota hai. Uske liye Accelerometer Senseor Work karta hai. Normally Sabhi Smartphone me Ye Accelerometer Sensor hota hai Isme App Smartphone Screen ko 90 Degree Tak Rotate kar Sakte ho

Gyroscope Bhi Ek Sensor hota hai jo Accelerometer Ki Tarah hi Work karta hai Par isme Screen ko 360 Degree Tak Rotate kar Sakte hai. Games Khelne ke liye Aur 360 Degree Videos ke liye Ye Sensorupyogi hai


Compass ( Magnet Meter) Sensor:

Campass Ko Magnet Meter Sensor Bhi kahte hai Ye Sensor North , East, West, south Etc. Disha ko Detect karne ke liye hota hai. Ye Sensor specially Map Location Ke Liye Banaya gya hai jisse hum Map se Jakar Apni correct location aur Indicator dekh sakte hai jisse Direction ka pura gyan ho jata hai. Aur isse direction Bilkul correct aati hai jo ki Travelling purpose se bahut accha hai.


FingerPrint Sensor :

Fingerprint Sensor ke Baare Me Mujhe Jyada kuch kahne ki Jarurat nhi hai lagbhag Sabhi log Iske Naam Se Jante hai. Fingerprint Sensor user ki Fingerprint ko Scanner Karne ke kam aata hai. Fingerprint Sensor Smartphone Me Lock Purpose se aata hai. Ye Smartphone Mobil ko lock karne Ke Liye, unlock karne ke liye Use Me Aata hai. 


First time Smartphone mobil me User ki fingerprint save karni padti hai bad me unhi save finger print se mobil ko unlock and lock kiya jaa sakta hai. Ye sab Fingerprint Sensor ka kamal hai. Finger-Print Sensor Enable Mobil apki personality banata hai. Aur app Bina pattern ek ungli se mobil ke lock ko open kar sakte hai. Ye sensor ab develop ho chuka hai aur Normally 7,000+ Ke Budget Me available ho jata hai. 

PedoMeter Sensor:

Accelerometer Sensor se advance sensor pedometer hai Ye User ke step ko count karta hai Step Matlab Us User Ke chalne ke liye kadam ko count karta hai. Ye sensor mehngi Hone Ke Karan Mahenge Mobil Me dekhne ko milta hai. Agar apne fitness Band Dekhe honge to usme Pedometer Ka upyog kiya jata hai jo ki apki Bhagne Aur chalne dono ko count kar sakta hai. app isse Har Mahine Jaan sakte ho ki app Is Mahine Kitne Kadam chale.



Proximity Sensor: 

Proximity Sensor Smartphone Ki Aur Smart Banata hai. Ye Smartphone Device ke Aas-pass Hone Wali Movement ko Detect karta hai. Aur Usi Type se work karta hai. For Example. Apne Gaur Kiya ho Kuch Smartphone ko Calling time Ear(kaan) Ke pass lagane se light automatic band ho jaati hai jaise hi mobil ko Ear par se hatate hai automatically light on ho jati hai Ye Proximity hardware Ka Kamaal hota hai. Ye Sensor Ear se Detect karta hai Esliye jayadatar ye sensor Front Camera Aur Front Speaker ke pass laga hota hai.
Kuch Smartphone Me auto Call Receiving ka And Auto Call End ka option hota hai Wo Sirf isi Sensorka karan ho pata hai

Heart Rate Sensor: 

Jaise naam se hi Samjh Sakte hai ki Ye sensor smartphone Me Heart Rate ko napne ke liye aata hai. Samsung S-5 Me Ye Sensor app Dekh Sakte hai. Mi Band Me Heart Rate calculated Sensor Ka upyog hua hai. 


Ambient Light Sensor:


Ye Sensor Smartphone Ki Display Ki Automatically Brightness ko maintain karta hai. Jis Prakar app Ghar Me Kam Brighness upyog karna chahoge Aur Ghar Se bahar Jyada Brightness chahte hai kyu ki Bahar din Me Screen ko Saaf dekhna hota hai Kuch smartphone me Ye Manually karna padta hai. But Ambient light Sensor smartphone me auto Enable kar Sakte hai jisse Din Aur uajle ki hisab se utni hi brightness Show karega jisse apko apke smartphone ki screen aasani se show ho jaye aur Isse Mobil ki Battery Bi Kam Kharch hoti hai. Smartphone ki battery bachane ke liye ye best Sensor hai.



Barometer Sensor:

Ye Sensor Smartphone Ke Envirnment And Pressure Ko Detect karta hai. Jamin Ke Ander Samundra Level se app Tak ki hight ko Barometer dwara naapa jaata hai. Ye Kuch Smartphone ka aisa Sensor jo Fun Ya Scientific Reasearch Ke liye Prayog me liya jata hai
Tempreture Ko Napne ke liye iska upyog hota hai




Thermometer Sensor:

Therometer Temperature Detect Karta hai. Internal Tempreture se leker External temperature Tak in Sensor se napa jaa sakta hai. Jab Smartphone Me Bahut se Application Run hote hai to Smartphone Bhi Hang hone ya Heat Dene lagta hai Ye Sensor un Detail tak user tak pahuchata hai Ye Sensor bhi Bahut kaam ka hota hai

Friend Ye Smartphone Ki all Sensor List hai Jo ki Feature ke Hisab se Samjh gye honge ki apkesmartphone me Kon kon se Sensor hai Aur kis Tarah Work karte hai.
Smartphone Ke Baare Me Is Blog Par bahut si Jankari hai jo apko shayad nhi pta ho. App Unko Jarur Padhiye

Keep Visiting ... Be Happy:

Tuesday, 21 June 2016

Apple Iphone 6s Full Review

Apple Iphone 6s 

Full A-Z Review



Aaj hum adi&abhi aapko Apple iphone 6s ka full review dunga . Aap sabhi jaante hai apple aajkal din-b-din famous hote jaa rha hai . Iske famous hone ka karan hai iski Uniqueness . Ye phone company sabse alag hai jo apna poora kaam khud-ba-khud karti hai . Iske body , phone parts , ye tak ki UI bhi khud hi banayi hai .yehi karan hai iske famous hone ka . Ye phone unique ke saath classic bhi hai . Iski body ki design kabil-e-tareef hai . Ab mai apko iske thode specification bata du .


Screen size - 4.7 inches
Ram              - 2 gb              
Camera       - 12 megapixel
Battery        -    1715 mah li-po        






Design &    Appearance





Design aur appereance ki baat hai to ye phone bahut classic hai . Iski design kaafi acchi hai . Apple ne body ko jayda se jayda slim karne ki koshis ki hai . But iska weight apko pakadne mai jayda lagega . Iska weight 143 grams hai jo ek 4.7 inch smartphone ke liye jayda hai . Vese iska weight thoda jayda hona hi tha kyoki isme 3D touch vala sensor jo laga hai . Iski body aur dimension acche hai isme 3.5 mm ka jack laga hai aur jo iske power buttons hai vo kaafi akarshak hai. Iske dimensions  138.3 × 67.1 × 7.1 mm hai .


Camera



 App logo ne suna hi hoga ki iphone ka camera kitna accha hai . Pehli baar apple ne iphone 6s maj bada camera dia hai . 12mp rear aur 5 mp front . Iske camera mai live photo option hai jo bahut acchi live photographers click karta hai .



Battery life







Ab ham iphone 6s ki battery life ke barre me charcha karege. Hme 1 ghante 42 minute ka video playback, video loop test me  mila hai, jise iske predecessor ke compare me acchi hai.aur iski battery bhi uske predecessor ke compare me size me choti hai.

Performance



Performance ke mamle me iphone 6s kam nhi hai. Isme 'dekstop class' A9 chip aur 2gb ram di gyi hai. Aaj tak koi bhi iphone 6s user ko is phone ke performance par koi bhi issue nhi hai.

Storage



Storages ke mamle me iphone 6s ke teen variant hai. Pehla variant hai 16gb internal memory,dusra 64 gb ka and tesra 128gb ka..

According to abhi and adi...

Advantages :

  • Great design
  • Fantastic performance
  • Retina flash front camera ka badiya hai.
  • 3d touch enable new UI paradigms.

Disadvantages:

  • Touch id bahut fast hai
  • 16 gb storage in base variant
  • Expensive
  • Battery life aur acchi ho sakti hai.
Our rating.... --  8



Monday, 20 June 2016

LG G5 full review

LG G5


Full A-Z review
Aaj mai abhishek aapko lg g5 ke baare me full information provide karuga.lg g5, lg ka sabse pehla flagship smartphone hai jisne apne smartphones me metal body aur fingerprint sensor diya hai.

Design and modules


Metal body se bna ye phone lg ka pehla phone hai jisne metal body aur fingerprint sensor diya hai. Is phone ko pakadne par ye phone metal jaisa heavy nhi balki bahut light weight lagta hai.is phone ki screen 5.3 inch hai jo is phone ko smart look deti hai. Iska fingerprint sensor bahut accurate hai aur lock button ke pass placed hai. Iske volume button and lock button left side hai aur hybrid sim slot right me hai.
Iski battery removable hai. Is phone ke socket top pe hai. Is phone ke sath additional battery 1200 mah ki di gyi hai jo is phone ko boost karti hai and total battery 4000 mah ki di gyi hai. Is phone ki screen 5.3 inch 1440 × 2560p ips lcd screen jo impressive 553p ki density ke sath  hai.

Performance



Lg g5, powered by qualcomm snapdragon 820 SoC ki performance bhi acchi hai. Ye phone 4gb ram and 32 gb internal storage jo ( 200 gb tak micro sd card ke dwara expand kari jaa sakti hai.). WiFi and 4g connectivity jo dono TTD band and FDD band 3 ke sath aata hai.

Sensor



Lg g5 bahut saare sensors ke sath aata hai jaise compass, barometer, color spectrum sensor , fingerprint sensor etc.

Camera






lG G5 ka camera bahut accha hai
Is phone ka rear camera 16 mp ka hai va front camera 8 mp ka hai. Rear camera 2160p 30fps video tak shoot kar sakta hai aur front wala
1080p 30fps tak shoot kar sakta hai.. Camera ki quality acchi hai. Is phone ke camera me slow motion mode bhi hai. Dusre features jaise image stabilization, lazer autofocus, color spectrum sensor etc...
Is phona ka camara bahut jaldi focus karta hai. Pictures andhere me bhi acchi aati hai.

Software







Lg g5 android  marshmallow 6.0.1  jo lg optimus 5.0 me run karta hai..

Is phone ka software well designed hai..jise chalane me bahut smoothness aati hai.



Aaplogo se mai umeed karta hu ki aapko mera ye post accha laga hoga . Agar aapko koi suggestion dena hai to aap hamse comment mai keh sakte hai  aur adhik jaankari ke liye hame aap email par pooch sakte hai . Hamari email id about us par click karke mil jayegi .

Thanks ......! 

Abhishek


























Samsung Galaxy S7 EDGE full Review

Samsung Galaxy s7 edge

Full A-Z Review 













Hello readers aaj mai Aditya aapko samsung galaxy s7 edge ka full review dunga. JESA ki aap sab jaante hai samsung ki latest flagship jo india mai launch hui hai . Aapko mai stepbystep iske harek feature k baare mai bataungaa   sabse pahle iski design ...!

Design
Is phone ki design sabse acchi hai . Kabhi kuch users ki shikayat aayi thi ki kuch phones ki grip comfortable nhi hai. Isi ko dekhte hue samsung ne is phone mai comfort aur grip dono ko saath mai rakhte huye iski design banayi . Iski design ek machine se 3d terrmoforming process se banayi hai .


Iski screen size 5.1 se 5.5 inches ki hai . Isme super amoled QHD display hai . Yeh phone 3600 mah ki battery se powered hai .

Iski design mai bole to ye phone water aur dustproof hai is phone ne in dono cheejo mai apple iphone 6 ko haraya hai .



Camera
Is phone ke liye jitni tareef kare utni kam hai. Isme dual lense camera hai . Jo is,i picture quality ko behad badha deta hai . 13 mp aur 5 mp camera normal camera se alag hai .iske camera ke feature itne ki gina hi nhi sake fir bhi aapko mai kuch feature bata deta hu. Isme sabse khaas hai MOTION PANORAMA. its the best of all . Fir motion photo  and hyperlapse . Hyper lapse  feature sabse acchi photos produce karta hai.iske saath saath selfie flash aur wide selfie ka frature bhi hai .

Hardware & Accessories
Isphone ko power karne ke liye GPU aur 4 Gb ram di gyi hai jo multi tasking ke liye smoothly work krta hai . Iski accessories  abhi tak ke sabhi samsung 

Iske box mai iska charger otg cable  headphone aur sabse helpful quickstart guide.    Accessories to ye vali box ki thi . Baad mai extra accessorie bhi aatii hai vo bahut hi acchi hai .




Storage & Memory Expantion
Pehli baar samsung ke kisi flagship mai expandable memory di hai .nhi to pahle s6 mai expandable memory nahi thi .
isme 200 gb tak ka sd card support karta hai . 
Iski do mode rehte hai ya to 2 sim ek saaath use kare ya ek sim aur ek sdcard use karsakte hai .

Charging & Shortcut
Isme fast charging hoti hai jo kaafi buisness users aur students ke liye kaafi useful hai ye phone 0-100 tak 100 minute mai charge ho jata hai. 
Aap log sochte hoge ki isme ghoomi hui screen kis kaam ki hai  mai aap ko bata du is iske edge display mai kaafi naye features add huye hai . 
    
Isme apps edge se lekar ruler  aur bhi kaafi gadgets hai .


Aaplogo se mai umeed karta hu ki aapko mera ye post accha laga hoga . Agar aapko koi suggestion dena hai to aap hamse comment mai keh sakte hai  aur adhik jaankari ke liye hame aap email par pooch sakte hai . Hamari email id about us par click karke mil jayegi .

Thanks ......! 
Aditya

Saturday, 18 June 2016

Best Smartphones in India

Aaj hum  India ke best smartphones batayge... ........
Aaj kal smartphones brands mai competetion laga hua hai .
Brand or company apne flagship market mai utar rhi hai .
Harek company apne flagship mai best dene ki full koshis
 karti hai.India ke top 5 smartphones mai mostly famous Brands aate hai ....!

  1.  Samsung galaxy s7 edge (32 gb)

Price = 56,900


Samsung pehli company hai jisne india me apna flagship smartphone launch kiya hai. Samsung ne apne smartphones ki design me pehli baar change laya hai.

Ye phone glass aur metal se bna hai. Aur waterproof hai. Isme micro sd card 200 gb tak support hota hai. Isme 4 gb ram ke sath 32 gb internal storage bhi diya gya hai. Isme Exynos 8890 SoC processor diya gya hai jo apne business me sabse fast hai. Isme AMOLED display di gyi hai vo bhi 2560 × 1440p resolution ke sath.
Is phone ki aur details ke liye Ispe click kare .



2. LG G5



 Price = 52,990
Lg ka flagship smartphone, LG G5 , pehla LG smartphone hai jisne metal body or fingerprint sensor diya hai. LG G5 qualcomm snapdragon 820 SoC powered hai. Isme 4 gb ram aur 32 gb storage hai. 5.3 inch display ke sath 2560 × 1440pixel resolution hai.
Is phone ke baare me aur padne ke liye yaha click kare..
3.Iphone 6s







Price = 64,499

Apple iphone 6s ' sabse best smart phone apple ke ithehas me'. Isme sab kuch hai jo ek phone ko flagship banane me kaam aata hai. Sabse bda difference apple ke itehas me aaya hai vo hai CAMERA. Is phone se hum 4k resolution se shoot kar sakte hai. Isme 3d touch display bhi hai. Gaming aur multitasking me ye smartphone sabse fastest sabit hua hai.
Iske baare me aur jankari ke liye yaha
Click kare

4. Huawei nexus 6P




  


Price = 33,499

Made by huawei, ye phone aluminium build hai. Isme lazer assisted  autofocus hai jo bahut acchi photo shoot karta hai.
Isme 12.3 back camera aur 8mp front camera hai aur ye phone 3450 mah battery se powered hai. Nexus 6p pehla phone hai jisne android marshmallow present kiya hai.
Is phone ki aur jankari ke liye hamare agle post ka intezaar kariye.

5. Xiaomi MI 5






Price = 24,999


Xiaomi ne apna flagship smartphone india me kuch dino pehle hi utara hai. Isme 3gb ram aur 32gb storage hai. Ye snapdragron 820  powered hai. Iska ek aur variant hai jisme 4gb ram aur 128 gb storage hai. Isme 4 axis OIS camera hai aur isme 3000 mah battery di gyi hai.

Iske baare me aur padne ke liye hamare next post ka intezzar kare.










Popular Posts

Recent Posts

Categories

Unordered List

Powered by Blogger.